Lyrics of 'Maa' :
main kabhi batlata nahin, par andhere se darta hoon main maa.
yoon to main, dikhlata nahin, teri parwah karta hoon main maa.
tujhe sab hai pata, hai na maa.
tujhe sab hai pata, meri maa.
bheed men, yun na chhodo mujhe,ghar laut ke bhi aa na paun maa.
bhej na itna door mujhko tu, yaad bhi tujhko aa na paun maa.
kya itna bura hoon main maa,
kya itna bura, meri maa.
jab bhi kabhi, papa mujhe, jo zor se, jhoola jhulate hain maa,
meri nazar, dhoondhe tujhe, sochoon yahi, tu aa ke thamegi maa.
unse main, ye kahta nahin, par main saham jata hoon maa.
chehre pe, aane deta nahin, dil hi dil mein ghabrata hoon maa.

No comments:
Post a Comment